اردو हिंदी
Wo pahli jaisi wahshaten wo haal hi nahin raha | Shaahi Shayari
wo pahli jaisi wahshaten wo haal hi nahin raha

Ghazal

Wo pahli jaisi wahshaten wo haal hi nahin raha

Aitbar Sajid

;

wo pahli jaisi wahshaten wo haal hi nahin raha
ki ab to shauq rahat-e-visal hi nahin raha

tamam hasraten har ek sawal dafn kar chuke
hamare pas ab koi sawal hi nahin raha

talash-e-rizq mein ye sham is tarah guzar gai
koi hai apna muntazir KHayal hi nahin raha

in aate jate roz-o-shab ki gardishon ko dekh kar
kisi ke hijr ka koi malal hi nahin raha

hamara kya banega kuchh na kuchh to is pe sochte
magar kabhi hamein gham-e-maal hi nahin raha

tumhaare KHal-o-KHad pe ek kitab likh rahe the hum
magar tumhaara husn be-misal hi nahin raha

sanwarta nikhaarta main kaise apne aap ko
tumhaare baad apna kuchh KHayal hi nahin raha

zara si baat se dilon mein itna farq aa gaya
talluqat ka to phir sawal hi nahin raha