اردو हिंदी
Wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya | Shaahi Shayari
wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya

Ghazal

Wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya

Sabir Zafar

;

wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya
main jis ko soch raha tha KHayal-e-KHam tha kya

udhar se hi koi guzra jidhar se guzra tu
teri misal koi aur KHush-KHiram tha kya

milun to kaise milun be-talab kisi se main
jise milun wo kahe mujh se koi kaam tha kya

usi ke sath raha jis ne tujh se nafrat ki
teri nazar mein 'zafar' us ka kuchh maqam tha kya