wo nihatta nahin akela hai
marka ab barabari ka hai
apni aankhen bacha ke rakhna tum
us gali raushni ziyaada hai
itni ras aa gai hai tanhai
KHud se milna bhi ab akharta hai
aaj ke din juda hua tha wo
aaj ka din pahaD jaisa hai
KHud ko kab tak sameTna hoga
us ne kitna mujhe bikhera hai
rang tabir ka KHuda jaane
KHwab aankhon mein to sunahra hai
chahe muTThi mein ek jugnu ho
koi puchhe kaho sitara hai

Ghazal
Wo nihatta nahin akela hai
Vikas Sharma Raaz