اردو हिंदी
Wo nazar aaina-fitrat hi sahi | Shaahi Shayari
wo nazar aaina-fitrat hi sahi

Ghazal

Wo nazar aaina-fitrat hi sahi

Baqi Siddiqui

;

wo nazar aaina-fitrat hi sahi
mujhe hairat hai to hairat hi sahi

zindagi dagh-e-mohabbat hi sahi
aap se dur ki nisbat hi sahi

tum na chaho to nahin kaT sakti
ek lamhe ki masafat hi sahi

dil mohabbat ki ada chahta hai
ek aansu dam-e-ruKHsat hi sahi

aab-e-haiwan bhi nahin mujh pe haram
zahr ki mujh ko zarurat hi sahi

apni taqdir mein sannaTa hai
ek hangame ki hasrat hi sahi

is qadar shor-e-tarab kya mani
jagne ki mujhe aadat hi sahi

bazm-e-rindan se talluq kaisa
aap ki mez pe sharbat hi sahi

hadd-e-manzil hai muqarrar 'baqi'
rahraw-e-shauq ko ujlat hi sahi