wo nairang-e-ulfat ko kya jaanta hai
ki apne se mujh ko juda jaanta hai
kuchh aisi to dushman mein KHubi nahin hai
magar tu KHuda jaane kya jaanta hai
ye munh se to kahta hun chhoDi mohabbat
magar haal dil ka KHuda jaanta hai
tumhaari shararat ko kya jaane koi
ye main jaanun ya dil mera jaanta hai
'zahir' apne aibon ko main jaanta hun
zamana mujhe parsa jaanta hai

Ghazal
Wo nairang-e-ulfat ko kya jaanta hai
Zaheer Dehlvi