wo nahin jaanta hai jab kuchh bhi
us se kahna hai be-sabab kuchh bhi
kaun apna hai kaun begana
hum ko malum hai ye sab kuchh bhi
be-gharaz ho ke sab se milte hain
hum ki rakhte hain be-talab kuchh bhi
jab bhi milta hai muskuraata hai
KHwah us ka ho ab sabab kuchh bhi
hum bhi mil kar bichhaD gae us se
baat aisi nahin ajab kuchh bhi
aadmi ka amal se rishta hai
kaam aata nahin nasab kuchh bhi
lakh zulmat ka bol-baala ho
do-ghaDi mein na hogi shab kuchh bhi
aisa duniya se ji ulajhta hai
nahin duniya mein jaise ab kuchh bhi
log qismat pe chhoD dete hain
baat banti nahin hai jab kuchh bhi
jo nahin chahte the hum kahna
us se kahna paDa wo sab kuchh bhi
zehn mafluj ho gaya shayad
yaad rahta nahin hai ab kuchh bhi
wo kisi ka adab nahin karte
jo nahin jaante adab kuchh bhi
us ke dil se utar gae 'nadir'
tum ko aata nahin hai Dhab kuchh bhi
Ghazal
Wo nahin jaanta hai jab kuchh bhi
Athar Nadir