اردو हिंदी
Wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein | Shaahi Shayari
wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein

Ghazal

Wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein

Iqbal Sajid

;

wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein
sochta kya hai utar ja baat ki gahrai mein

surKH-ru hone na paya tha ki pila paD gaya
chand ka bhi hath tha jazbaat ki paspai mein

be-libasi hi na ban jae kahin tera libas
aaine ke samne pagal na ho tanhai mein

tu agar phal hai to KHud hi TuT kar daman mein aa
main na phekunga koi patthar teri angnai mein

raat-bhar wo apne bistar par paDa rota raha
dur ek aawaz banjar ho gai shahnai mein

daere baDhte gae parkar ka munh khul gaya
wo bhi daKHil ho gaya ab sarhad-e-ruswai mein

habs to dil mein tha lekin aankh tap kar rah gai
raat sara shahr Duba dard ki purwai mein

aankh tak bhi ab jhapakne ki mujhe fursat nahin
naqsh hai diwar par taswir hai binai mein

log wapas ho gae 'sajid' numaish gah se
aur main khoya raha ek mahshar-e-ranai mein