اردو हिंदी
Wo mizha marti kaTari hai | Shaahi Shayari
wo mizha marti kaTari hai

Ghazal

Wo mizha marti kaTari hai

Kishan Kumaar Waqaar

;

wo mizha marti kaTari hai
chashm-e-baddur zaKHm kari hai

aankhen chamka gaya wo barq-asa
dil mera waqf-e-be-qarari hai

qais baad-e-saba hai bu laila
shaKH-e-gul nafe ki sawari hai

zulf tak go na pahuncha shana-war
hath ko par umid-wari hai

dil pe chaDhti nahin koi tadbir
meri taqdir wo utari hai

doston se hai un ki ayyari
aur aada se dost-dari hai

dam samajhta hai ai 'waqar' wo shoKH
meri do din se dam-shumari hai