wo meri jurat-e-kamyab se na-waqif hain
han wahi log jo girdab se na-waqif hain
aisi raaten ki jinhen nind ki lazzat na mili
aisi aanhken jo abhi KHwab se na-waqif hain
meri kam-goi pe jo tanz kiya karte hain
meri kam-goi ke asbab se na-waqif hain
un se kya kije tawaqqoa wo hain nau-warid-e-dasht
dasht-e-wahshat ke jo aadab se na-waqif hain
wo jo be-gana-e-tahzib-o-tamaddun hain wo log
mahfilon ke adab-adab se na-waqif hain

Ghazal
Wo meri jurat-e-kamyab se na-waqif hain
Ahmad Ashfaq