wo meri duniya ka malik tha magar mera na tha
main ne is andaz par pahle kabhi socha na tha
ek muddat tak raha KHush-fahmiyon mein mubtala
aaine ke ru-ba-ru jab tak mera chehra na tha
tohmaton ko ek aise ajnabi ki thi talash
jo kabhi ghar se nikal kar rah mein Thahra na tha
ho chuki thi shohraten ruswaiyon se ham-kanar
bhul jata main jise wo saneha aisa na tha
meri nazron mein hai KHaka wo bhi husn-e-dost ka
jis ko logon ne abhi tak zehn mein socha na tha
main uThun to rang laen tazkaron ke silsile
log itna to kahen ki aadmi achchha na tha
log is andaz mein dete hain duniya ki misal
main to jaise tajrabon ke daur se guzra na tha
ek naya ehsas dete hain wo ahl-e-sang ko
aabru ke sath rahna shahr mein achchha na tha
kya asar-andaz hota us pe afsana 'nazar'
lafz bhi mange hue mafhum bhi apna na tha
Ghazal
Wo meri duniya ka malik tha magar mera na tha
Jamil Nazar