wo mere samne malbus kya badalne laga
nigar KHana-e-abr-o-hawa badalne laga
tah-e-zamin kisi azhdahe ne jumbish ki
bisat-e-KHak pe manzar mera badalne laga
ye kaun utra pae-gasht apni masnad se
aur intizam-e-makan o sira badalne laga
hua hai kaun numudar tin samton se
ki andarun ka jazira-numa badalne laga
ye kaise din hain hamari zamin par 'sarwat'
gulon ka rang namak ka maza badalne laga

Ghazal
Wo mere samne malbus kya badalne laga
Sarvat Husain