wo mera hai to kabhi bhi na aazmaun use
mera nahin hai to phir kis liye sataun use
wo mahtab se baDh kar ke ho gaya suraj
jo KHud bhi aae to kaise gale lagaun use
main chahta hun mera pyar us se aisa ho
wo ruThta rahe main bar-ha manaun use
tamam din ki mashaqqat-bhari takan ke baad
tamam raat mohabbat se phir jagaun use
mera habib mere ishq mein khilauna ho
wo TuT jae to phir joD kar banaun use
hua kare mera us se muqabla yun bhi
usi se jit ke us ko hi haar jaun use
wo jaanta hai mere har sawal ka matlab
agar jawab bhi de de to man jaun use
yahi dua hai meri rabb-e-do-jahan se 'bilal'
kisi se ahd karun gar to phir nibhaun use
Ghazal
Wo mera hai to kabhi bhi na aazmaun use
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman