اردو हिंदी
Wo maut ka manzar jo tha din raat wahi hai | Shaahi Shayari
wo maut ka manzar jo tha din raat wahi hai

Ghazal

Wo maut ka manzar jo tha din raat wahi hai

Mohsin Zaidi

;

wo maut ka manzar jo tha din raat wahi hai
munh se na kaho surat-e-haalat wahi hai

lafzon ke ulaT pher se badlega na matlab
imdad jise kahte ho KHairaat wahi hai

gul karna charaghon ka to ek khel hai us ka
wazeh hai pas-e-parda-e-zulmat wahi hai

zanjir mein mausam ki hain jakDe hue din raat
sardi wahi garmi wahi barsat wahi hai

hum ne to isi tarah guzare hain shab-o-roz
apne liye har din wahi har raat wahi hai

kuchh mere hi manind hai tarz-e-suKHan us ka
andaz-e-ishaaraat-o-kinayat wahi hai

donon hi taraf aag barabar ki hai 'mohsin'
donon hi taraf garmi-e-jazbaat wahi hai