wo maqtal mein agar khinche hue talwar baiThe hain
to hum bhi jaan dene ke liye tayyar baiThe hain
dar-e-pir-e-mughan par is tarah mai-KHwar baiThe hain
ki kuchh maKHmur baiThe hain to kuchh sarshaar baiThe hain
agar wo galiyan dene par aamada hain KHalwat mein
to hum bhi arz-e-matlab ke liye tayyar baiThe hain
gala main kaT lun KHud ek ishaara ho jo abru ka
wo kyun mere liye khinche hue talwar baiThe hain
sahaara jab diya hai kuchh ummid-e-wasl ne aa kar
to uTh kar bistar-e-gham se tere bimar baiThe hain
hijab un se wo mera puchhna sar rakh ke qadmon par
sabab kya hai jo yun mujh se KHafa sarkar baiThe hain

Ghazal
Wo maqtal mein agar khinche hue talwar baiThe hain
Anwari Jahan Begum Hijab