wo mah-wash hai zamin par nazar jhukae hue
sitare baiThe rahen mahfilen sajae hue
gae the kitni umangon ko le ke sine mein
jo teri bazm se uTThe to sar jhukae hue
hamein bhi pyar se dekho ki hum hain KHasta-jigar
gham-e-zamana ke mare hue satae hue
hamein to ek nahin kushta-e-maal-e-karam
kuchh aur bhi hain fareb-e-nigah khae hue
KHayal-e-duri-e-manzil thaka bhi deta hai
chale chalo abhi aage qadam baDhae hue
kabhi jo rahte the sar-mast-e-nashtar-e-gham-e-dost
wo ja rahe gham-e-jaan se munh ki khae hue

Ghazal
Wo mah-wash hai zamin par nazar jhukae hue
Sajjad Baqar Rizvi