wo log to aaankhon se bhi dekha nahin karte
jo dil ke darichon ko kabhi wa nahin karte
aisi hi kashakash mein ulaT jati hai duniya
sambhle na agar dil to sambhaala nahin karte
rakhte hain mohabbat ko taghaful mein chhupa kar
parwa hi to karte hain jo parwa nahin karte
hoga koi hum jaisa kahan hijr-gazida
matam bhi to tanhai ka tanha nahin karte
is chaak-garebani pe samjhane lage sab
dhage bhi ye kahte hain ki uljha nahin karte
kahte hain sabhi sust magar aap kahen kyun
kah den jo kabhi aap to hum kya nahin karte
'aKHtar' ko bura kahte koi baat nahin thi
'ghaalib' ko bura kahte ho achchha nahin karte
Ghazal
Wo log to aaankhon se bhi dekha nahin karte
Junaid Akhtar