wo log hi har daur mein mahbub rahe hain
jo ishq mein talib nahin matlub rahe hain
tufan ki aawaz to aati nahin lekin
lagta hai safine se kahin Dub rahe hain
un ko na pukaro gham-e-dauran ke laqab se
jo dard kisi nam se mansub rahe hain
hum bhi teri surat ke parastar hain lekin
kuchh aur bhi chehre hamein marghub rahe hain
alfaz mein izhaar-e-mohabbat ke tariqe
KHud ishq ki nazron mein bhi mayub rahe hain
is ahd-e-basirat mein bhi naqqad hamare
har ek baDe nam se marub rahe hain
itna bhi na ghabrao nai tarz-e-ada se
har daur mein badle hue uslub rahe hain
Ghazal
Wo log hi har daur mein mahbub rahe hain
Jaan Nisar Akhtar