wo le ke dil ko ye sochi kahin jigar bhi hai
nazar TaTol rahi hai ki kuchh idhar bhi hai
hanso na khol ke zulfen bala-nasibon par
bala-nasib jahan mein tumhaara sar bhi hai
wo bigDe sun ke magar sun to li hamari aah
ye be-asar hi nahin balki ba-asar bhi hai
junun ko wo banawaT samajh raha hai abhi
ye sun liya hai kisi se ki mere ghar bhi hai
firaq mein ye naya tajraba hua mujh ko
ki ek raat zamane mein be-sahar bhi hai
ye kah ke hashr se bhaga main apna ji le kar
ilahi KHair yahan to wo fitna-gar bhi hai
mujhe to aap mein is waqt tum nahin milte
kahan ho 'shauq' kuchh apni tumhein KHabar bhi hai

Ghazal
Wo le ke dil ko ye sochi kahin jigar bhi hai
shauq Qidvai