wo koi husn hai jis husn ka charcha na hua
us ka kya ishq hai jo ishq mein ruswa na hua
tera aana jo mere pas masiha na hua
tha jo bimar kisi se magar achchha na hua
yun to mushtaq rahe kitna hi us kuche ke
par guzar mere siwa aur kisi ka na hua
shayad aa jae kabhi dekhne wo rashk-e-masih
main kisi aur se is waste achchha na hua
sher kahte hue ek umr hui 'taban' ko
hae afsos ki is kaam main puKHta na hua

Ghazal
Wo koi husn hai jis husn ka charcha na hua
Anwar Taban