wo KHwab sa paikar hai gul-e-tar ki tarah hai
aaankhon mein gai sham ke manzar ki tarah hai
ehsas dilati hai ye phaili hui KHushbu
us ghar ki mohabbat bhi mere ghar ki tarah hai
main aaina jaisa hun koi toD na Dale
har shaKHs meri rah mein patthar ki tarah hai
ek main hun ki lahron ki tarah chain nahin hai
ek wo hai ki KHamosh samundar ki tarah hai
wo jis ne 'ziya' harf bhi dil mein na utara
wo aaj sar-e-bazm suKHan-war ki tarah hai
Ghazal
Wo KHwab sa paikar hai gul-e-tar ki tarah hai
Ahmad Ziya