wo KHush kisi ke sath hain na-KHush kisi ke sath
har aadmi ki baat hai har aadmi ke sath
lakhon jafaen saikaDon sadme hazar gham
ek aasaman TuT paDa zindagi ke sath
mumkin nahin ki dil se nikal jae aarzu
ye mere dam ke sath hai ye mere ji ke sath
ab kya karun main shikwa-e-bedad hashr mein
munh mera tak rahe hain wo kis bekasi ke sath

Ghazal
Wo KHush kisi ke sath hain na-KHush kisi ke sath
Rasa Rampuri