wo khul kar mujh se milta bhi nahin hai
magar nafrat ka jazba bhi nahin hai
yahan kyun bijliyan manDla rahi hain
yahan to ek tinka bhi nahin hai
barahna sar main sahra mein khaDa hun
koi baadal ka TukDa bhi nahin hai
chale aao mere viran dil tak
abhi itna andhera bhi nahin hai
samundar par hai kyun haibat si tari
musafir itna pyasa bhi nahin hai
masail ke ghane jangal se yaro
nikal jaane ka rasta bhi nahin hai
ajab mahaul hai gulshan ka 'farhat'
hawa ka taza jhonka bhi nahin hai

Ghazal
Wo khul kar mujhse milta bhi nahin hai
Farhat Qadri