wo KHud ko mere andar DhunDta hai
wo surat hai ye surat-ashna hai
magar ye apne apne daere hain
koi naghma koi naghma-sara hai
wo baadal hai to kyun hai ju-e-kam-ab
samundar hai to kyun par taulta hai
nadi ke darmiyan sidhi saDak hai
nadi ke par kachcha rasta hai
wo na-maujud har shai mein hai maujud
ye aalam bhi ajab hairat-faza hai
na jaane kya sar-e-nazzara hoga
use dekha nahin dil mubtila hai
Ghazal
Wo KHud ko mere andar DhunDta hai
Syed Amin Ashraf