wo KHanuman-KHarab na kyun dar-ba-dar phire
jis se teri nigah mile ya nazar phire
rah-e-junun mein yun to hain lakhon hi sar-phire
ya-rab meri tarah na koi umr bhar phire
raftar-e-yar ka agar andaz bhul jae
gulshan mein KHak uDati nasim-e-sahar phire
saqi ko bhi sikhate hain aadab-e-mai-kashi
milte hain mai-kade mein kuchh aise bhi sar-phire
tark-e-watan ke baad hi qadr-e-watan hui
barson meri nigah mein diwar-o-dar phire
rah jae chand roz jo bimar-e-gham ke pas
KHud apna dil dabae hue chaara-gar phire
main apna raqs-e-jam tujhe bhi dikhaunga
ai gardish-e-zamana mere din agar phire
meri nigah mein to ghazal hai usi ka nam
jis ki ragon mein dauDta KHun-e-jigar phire
qaid-e-gham-e-hayat bhi kya chiz hai 'fana'
rah-e-farar mil na saki umr-bhar phire
Ghazal
Wo KHanuman-KHarab na kyun dar-ba-dar phire
Fana Nizami Kanpuri