اردو हिंदी
Wo kam-suKHan na tha par baat soch kar karta | Shaahi Shayari
wo kam-suKHan na tha par baat soch kar karta

Ghazal

Wo kam-suKHan na tha par baat soch kar karta

Taimur Hasan

;

wo kam-suKHan na tha par baat soch kar karta
yahi saliqa use sab mein mo'tabar karta

na jaane kitni ghalat-fahmiyan janam letin
main asl baat se pahlu-tahi agar karta

main sochta hun kahan baat is qadar baDhti
agar main tere rawayye se dar-guzar karta

mera adu to tha ilm-ul-kalam ka mahir
mere KHilaf zamane ko bol kar karta

akele jang laDi jit li to sab ne kaha
pahunchte hum bhi agar tu hamein KHabar karta

meri bhi chhanw na hoti agar tumhaari tarah
main inhisar buzurgon ke sae par karta

safar mein hoti hai pahchan kaun kaisa hai
ye aarzu thi mere sath tu safar karta

gae dinon mein ye mamul tha mera 'taimur'
ziyaada waqt main ek KHwab mein basar karta