اردو हिंदी
Wo kaj-nigah na wo kaj-shiar hai tanha | Shaahi Shayari
wo kaj-nigah na wo kaj-shiar hai tanha

Ghazal

Wo kaj-nigah na wo kaj-shiar hai tanha

Hasan Nayeem

;

wo kaj-nigah na wo kaj-shiar hai tanha
bas ek payambar-e-jannat-nisar hai tanha

na bulbulon ki azan hai na titliyon ka tawaf
abhi chaman mein gul-e-nau-bahaar hai tanha

uThae minnat-e-sarsar ki naz-e-baad-e-nasim
har ek haal mein sahra shikar hai tanha

falak nujum se raushan zamin charaghon se
hujum-e-nur mein ek sham-e-tar hai tanha

jami hai bazm-e-masarrat ghazal-chashmon se
jise mili hai nazar ashk-bar hai tanha

hamin ne KHema-e-hijran mein kaT din raaten
hamin ko fikr thi behad ki yar hai tanha

chahal-pahal hai bahut yun to mai-kade mein 'naim'
miyan-e-jam-o-subu baada-KHwar hai tanha