اردو हिंदी
Wo kahte hain uTTho sahar ho gai | Shaahi Shayari
wo kahte hain uTTho sahar ho gai

Ghazal

Wo kahte hain uTTho sahar ho gai

Aagha Akbarabadi

;

wo kahte hain uTTho sahar ho gai
azan ho gai top-sar ho gai

gale se milo ab to bahr-e-KHuda
taDapte mujhe raat bhar ho gai

ilahi hua jazb-e-ulfat ko kya
meri aah kyun be-asar ho gai

zamana to ai jaan bargashta tha
tumhaari bhi tirchhi nazar ho gai

hue sar kaTane ko tayyar hum
jo wan tegh zeb-e-kamar ho gai

dikhai mujhe kis liye sham-e-hijr
shab-e-wasl ki kyun sahar ho gai

mila wasl mein bhi na 'agha' ko chain
shikayat mein shab bhar basar ho gai