wo jo surat thi sath sath kabhi surKH mahke gulab ki surat
us ki yaaden utarti rahti hain zehn-o-dil pe azab ki surat
ye rawayya sahi nahin hota yun hamein kashmakash mein mat Dalo
ya hamein sach ki tarah apna lo ya bhula bhi do KHwab ki surat
us ne an-dekha an-suna kar ke be-talluq kiya hai to ab hum
us ki taswir se nikalenge aansuon ke hisab ki surat
apni jhuTi ana ki baaton mein aa ke us ko sula to baiThe hain
ab hain sahraon ke musafir hum aur wo surat sarab ki surat

Ghazal
Wo jo surat thi sath sath kabhi surKH mahke gulab ki surat
Subhan Asad