wo jo phul the teri yaad ke tah-e-dast-e-KHar chale gae
tere shahr mein bhi sukun hai tere be-qarar chale gae
na wo ashk ab na wo aable na wo chiKHti hui dhaDkanen
meri zat se tere dard ke sabhi ishtihaar chale gae
na wo yaad hai na wo hijr hai na nigah-e-naz ka zikr hai
mere zehn se teri fikr ke sabhi rozgar chale gae
the wo fitratan hi shahid-KHu unhen qatilon se bhi pyar tha
kabhi maqtalon mein kaTe the wo kabhi su-e-dar chale gae
na badan bacha na lahu bacha na to jism ka koi mu bacha
koi ja ke kah de ye dard se wo tere shikar chale gae
yun abas kisi ko sada na do dil-e-zar ko ye bata bhi do
kabhi ab na aaenge lauT kar wo jo ek bar chale gae
unhen kya lalak tere faiz ki unhen kya talab tere wasl ki
jo mizaj le ke faqir ka sar-e-ku-e-yar chale gae
hai ye sach ki mausam-e-hijr mein mera KHar KHar badan hua
kabhi yaad tujh ko jo kar liya to badan ke KHar chale gae
na KHushi mein ab wo surur hai na to dard mein wo nasha raha
lo 'sahab' baada-e-ishq ke wo sabhi KHumar chale gae
Ghazal
Wo jo phul the teri yaad ke tah-e-dast-e-Khaar chale gae
Ajay Sahaab