اردو हिंदी
Wo jo karte the baat baat ka gham | Shaahi Shayari
wo jo karte the baat baat ka gham

Ghazal

Wo jo karte the baat baat ka gham

Qamar Abbas Qamar

;

wo jo karte the baat baat ka gham
un ko ras aa gaya hayat ka gham

ai shab-e-hijr mere sine par
tu ne rakkha hai kaenat ka gham

tu bhi suraj hai apni hasti ka
tujh ko malum kya ho raat ka gham

chal gham-e-dil gham-e-jahan liye
bhul jaen talluqat ka gham

aaj fursat mili thi bahar se
kha gaya andarun-e-zat ka gham

wo payambar hain apni raaton ke
jin pe utra hai chand-raat ka gham