اردو हिंदी
Wo jo husn-e-kul ki dalil tha wo KHayal aa ke saja gaya | Shaahi Shayari
wo jo husn-e-kul ki dalil tha wo KHayal aa ke saja gaya

Ghazal

Wo jo husn-e-kul ki dalil tha wo KHayal aa ke saja gaya

Afeef Siraj

;

wo jo husn-e-kul ki dalil tha wo KHayal aa ke saja gaya
laDin yun nigah se bijliyan koi jaise parde uTha gaya

main hikayat-e-dil-e-be-nawa mein ishaarat-e-gham-e-jawidan
main wo harf-e-aKHir-e-motabar jo likha gaya na paDha gaya

main charagh-e-hasrat-e-nim-shab mein sharar-e-atish-e-jaan-ba-lab
dil-e-pur-umid ki lau tha main mujhe KHud wo aa ke bujha gaya

main ghubar-e-rah-e-talab raha hua dar-ba-dar jo chali hawa
main ujaD ke jab hua mutmain to wo mujh ko dil mein basa gaya

pas-e-parda dil ka rafiq tha sar-e-parda mera raqib tha
main miyan-e-radd-o-qubul tha ki wo aa ke parda haTa gaya

mujhe fikr thi meri zat par koi rang bhi na chaDhe magar
wo kamal-e-ghairat-e-aina mera aks mujh ko dikha gaya

mera dil amin tha nigah ka thi nigah mahram-e-tajraba
wo fusun-e-jalwa ki aabru mere tajrabon ko miTa gaya