wo jo firdaus-e-nazar hai aaina-KHana abhi
jalwa-gar jo wo na hon ho jae virana abhi
shama ki lau mein sama kar KHud sarapa nur ho
dur-ras itni nahin parwaz-e-parwana abhi
tera diwana hai us ki rifaton ka zikr kya
gard ko jis ki na pahuncha koi farzana abhi
multafit ho kar na baKHshen is tarah labrez jam
meri hasti ka chhalak jae na paimana abhi
kabe se phir aaya wo bahr-e-tawaf-e-mai-kada
'sehr' ki fitrat mein hai andaz-e-rindana abhi

Ghazal
Wo jo firdaus-e-nazar hai aaina-KHana abhi
Sehr Ishqabadi