wo jitne dur hain utne hi mere pas bhi hain
ye aur baat hai KHush hain magar udas bhi hain
ye dekhna hai hamein kis ka zauq kaisa hai
yahan sharab bhi hai zahr ke gilas bhi hain
unhi pe tohmat-e-diwangi lagate ho
jo ittifaq se mahfil mein ru-shanas bhi hain
jo raushni ke libaade ko oDh kar aae
shab-e-siyah ke wo matami libas bhi hain
tum apne shahr mein amn-o-aman ki baat karo
jahan sukun hai wahan log bad-hawas bhi hain
ghazal ke saz hain faiz-ul-hasan-'KHayal' jahan
wahan pe aah ba-lab bhi hain mahw-e-yas bhi hain
Ghazal
Wo jitne dur hain utne hi mere pas bhi hain
Faiz ul Hasan