wo jitna mujhe aazmata rahega
yaqin mera utna ganwata rahega
kabhi puchh le tu raza is ke man ki
kahan tak tu apni chalata rahega
ye haiwaniyat jurm karti rahegi
sharafat pe ilzam aata rahega
zamana hai bahra bache kaise izzat
koi shor kab tak machata rahega
zamana hua KHud mein chaalak itna
tu jab tak Darega Daraata rahega
rahegi mohabbat jawan mere dil mein
tera dard jab tak satata rahega
ghamon ko bhi hans kar wo ji lega 'kalkal'
KHuda ko jo bartar batata rahega

Ghazal
Wo jitna mujhe aazmata rahega
Rajendra Kalkal