wo jis ka rang salona hai baadalon ki tarah
gira tha meri nigahon pe bijliyon ki tarah
wo ru-ba-ru ho to shayad nigah bhi na uThe
jo meri aankh mein rahta hai ratjagon ki tarah
charagh-e-mah ke bujhne pe ye hua mahsus
nikhar gai meri shab tere gesuon ki tarah
wo aandhiyan hain ki dil par tumhaari yaadon ke
nishan bhi miT gae sahra ke raston ki tarah
meri nigah ka andaz aur hai warna
tumhaari bazm mein hun main bhi dusron ki tarah
qarib aae to gum-karda-rah dikhai diye
jo dur se nazar aate the manzilon ki tarah
har ek nazar ki rasai nahin ki dekh sake
hujum-e-rang hai KHaron mein bhi gulon ki tarah
na jaane kaise safar ki hai aarzu dil mein
main apne ghar mein paDa hun musafiron ki tarah
main dasht-e-dard hun yaadon ki nikhaton ka amin
hawa thame to mahakta hun gulshanon ki tarah
damak raha hai jabin-e-dawam par farhad
sharar-e-tesha farozan hai mashalon ki tarah
usi ki dhun mein chaTTanon se sar ko Takraya
wo ek KHayal ki nazuk tha aainon ki tarah

Ghazal
Wo jis ka rang salona hai baadalon ki tarah
Sadique Naseem