اردو हिंदी
Wo is ada se jo aae to kyun bhala na lage | Shaahi Shayari
wo is ada se jo aae to kyun bhala na lage

Ghazal

Wo is ada se jo aae to kyun bhala na lage

Nasir Kazmi

;

wo is ada se jo aae to kyun bhala na lage
hazar bar milo phir bhi aashna na lage

kabhi wo KHas inayat ki sau guman guzrin
kabhi wo tarz-e-taghaful ki mahramana lage

wo sidhi-sadi adaen ki bijliyan barsen
wo dil-barana murawwat ki aashiqana lage

dikhaun dagh-e-mohabbat jo nagawar na ho
sunaun qissa-e-furqat agar bura na lage

bahut hi sada hai tu aur zamana hai ayyar
KHuda kare ki tujhe shahr ki hawa na lage

bujha na den ye musalsal udasiyan dil ko
wo baat kar ki tabiat ko taziyana lage

jo ghar ujaD gae un ka na ranj kar pyare
wo chaara kar ki ye gulshan ujaD sa na lage

itab-e-ahl-e-jahan sab bhula diye lekin
wo zaKHm yaad hain ab tak jo ghaebana lage

wo rang dil ko diye hain lahu ki gardish ne
nazar uThaun to duniya nigar-KHana lage

ajib KHwab dikhate hain na-KHuda hum ko
gharaz ye hai ki safina kinare ja na lage

liye hi jati hai har-dam koi sada 'nasir'
ye aur baat suragh-e-nishan-e-pa na lage