اردو हिंदी
Wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah | Shaahi Shayari
wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah

Ghazal

Wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah

Qamar Siddiqi

;

wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah
mere hudud se bahar hai la-makan ki tarah

wo ek KHayal koi bahr-e-be-karan jaise
meri nazar kisi bosida baadban ki tarah

azal se sar pe khaDi dopahar ka manzar hai
so ab ye dhup bhi lagti hai saeban ki tarah

main harf harf use hi sameTna chahun
magar wo phailta jata hai dastan ki tarah

mere badan mein koi shai yugon yugon se 'qamar'
bikhar rahi hai kisi reg-e-raegan ki tarah