wo ek sawal-e-sitara ki aasman mein tha
tamam raat ye dil saKHt imtihan mein tha
sukun sarab zamin mein jhulas gaya tha badan
na jaane kaun dhanak-rang saeban mein tha
zara sa dam na liya tha ki mund gain aankhen
main is safar se nikal kar ajab takan mein tha
wo jate jate achanak muDa tha meri taraf
mujhe yaqin hai ki wo phir kisi guman mein tha
use bhulaya to apna KHayal bhi na raha
ki mera sara asasa isi makan mein tha
Ghazal
Wo ek sawal-e-sitara ki aasman mein tha
Ahmad Mahfuz