wo ek nazar se mujhe be-asas kar dega
mere yaqin ko mera qayas kar dega
main jab bhi us ki udasi se ub jaungi
to yun hansega ki mujh ko udas kar dega
mila ke mujh se nigahen wo meri nazron ke
zara si der mein KHali gilass kar dega
phir is tarah se rahega mere KHayalon mein
ki meri pyas ko dariya ki pyas kar dega
main us ki gard haTate hue bhi Darti hun
wo aaina hai mujhe KHud-shanas kar dega
main us ke samne uryan lagungi duniya ko
wo mere jism ko mera libas kar dega
wo mahtab-sifat sirf raushni hi nahin
mujhi ko raat ka manzar bhi KHas kar dega
Ghazal
Wo ek nazar se mujhe be-asas kar dega
Aziz Bano Darab Wafa