اردو हिंदी
Wo husn-e-sabz jo utra nahin hai Dali par | Shaahi Shayari
wo husn-e-sabz jo utra nahin hai Dali par

Ghazal

Wo husn-e-sabz jo utra nahin hai Dali par

Akhtar Razaa Saleemi

;

wo husn-e-sabz jo utra nahin hai Dali par
farefta hai kisi phul chunne wali par

main hal chalate hue jis ko socha karta tha
usi ki gandumi rangat hai baali baali par

ye log sair ko nikle hain so bahut KHush hain
main dil-e-girafta hun sabze ki paemali par

ek aur rang mila aa ke sat rangon mein
shua-e-mahr paDi jab se teri baali par

main khul ke sans bhi leta nahin chaman mein 'raza'
mubaada bar guzarta ho sabz Dali par