wo hasrat-e-bahaar na tufan-e-zindagi
aata hai phir rulane ko abr-e-bahaar kyun
aalam-o-gham ki tund hawadis ke waste
itna latif dil mere parwardigar kyun
jab zindagi ka maut se rishta hai munsalik
phir ham-nashin hai KHatra-e-lail-o-nahaar kyun
jab rabt-o-zabt husn-e-mohabbat nahin raha
hai bar-e-dosh hasti-e-na-paedar kyun
rona mujhe KHizan ka nahin kuchh magar 'shamim'
is ka gila hai aai chaman mein bahaar kyun
Ghazal
Wo hasrat-e-bahaar na tufan-e-zindagi
Safiya Shamim