wo haqiqat mein ek lamha tha
jis ka dauran ye zamana tha
meri nazron se gir paDi hai zamin
kyun bulandi ne is ko dekha tha
kaisi paiwand-kar hai fitrat
muntashir ho ke bhi main yakja tha
raushni hai kisi ke hone se
warna buniyaad to andhera tha
jab bhi dekha naya laga mujh ko
kya tamasha jahan-e-kohna tha
us ne mahdud kar diya hum ko
koi hum se yahan zyaada tha
jab ki suraj tha palne wala
chand se kya lahu ka rishta tha
mar gaya jo bhi us ke bare mein
dhyan paDta nahin ki zinda tha
yahin paida yahin jawan hua
us ke lab par kahan ka qissa tha
koi gunjaan tha koi viran
koi jangal kisi mein sahra tha
umr sari wo nind mein bola
chand lamhon ko koi jaga tha
kahin jaane ki sab ne baaten kin
kaise aate hain kaun bola tha
sari uljhan usi se paida hui
wo jo wahid hai be-tahasha tha
dauDte phir rahe the sare log
jab ki un ko yahin pe rahna tha
tujh ko lana hisar mein apne
mera adna sa ek karishma tha
farq gahrai aur pasti mein
kisi bulandi se dekh paya tha
us ki tafsil mein tha sargardan
zehn mein muKHtasar sa KHaka tha
pas aa kar use hua malum
main akela nahin tha tanha tha
kitne fisad the jagne wale
kitne logon ko hosh aaya tha
kis ko ibnus-sabil kahte 'malal'
nae raston ka kaun beTa tha
Ghazal
Wo haqiqat mein ek lamha tha
Sagheer Malal