wo ham-safir the to qafas bhi chaman hi tha 
ab jaise aashiyan bhi mera aashiyan nahin 
mere junun pe un ko KHalish si zarur hai 
ye aur baat hai ki wo kuchh mehrban nahin 
sab na-ummid ho ke zamane se ja mile 
ahl-e-wafa ka aaj koi raaz-dan nahin 
kaisi bahaar kaisa chaman kaisa mai-kada 
mera lahu bhi pi ke ye duniya jawan nahin 
hum ahl-e-gham ke pas dil-e-KHun-chakan to hai 
tum ko sunaen haal wo tarz-e-bayan nahin 
naseh ki zid pe charKH ko lana tha rah par 
kaise kahen ki sai-e-junun raegan nahin
 
        Ghazal
Wo ham-safir the to qafas bhi chaman hi tha
Khalilur Rahman Azmi

