wo hum nahin jinhen sahna ye jabr aa jata
teri judai mein kis tarah sabr aa jata
fasilen toD na dete jo ab ke ahl-e-qafas
tu aur tarah ka elan-e-jabr aa jata
wo fasla tha dua aur mustajabi mein
ki dhup mangne jate to abr aa jata
wo mujh ko chhoD ke jis aadmi ke pas gaya
barabari ka bhi hota to sabr aa jata
wazir o shah bhi KHas-KHanon se nikal aate
agar guman mein angar-e-qabr aa jata
Ghazal
Wo hum nahin jinhen sahna ye jabr aa jata
Parveen Shakir