wo had se dur hote ja rahe hain
baDe maghrur hote ja rahe hain
base hain jab se wo meri nazar mein
sarapa nur hote ja rahe hain
jo phuTe aable dil ki KHalish se
wo ab nasur hote ja rahe hain
bahut mushkil hai manzil tak rasai
wo koson dur hote ja rahe hain
kahan pahli si rah-o-rasm-e-ulfat
nae dastur hote ja rahe hain
hamare dagh-e-dil rah-e-talab mein
charagh-e-tur hote ja rahe hain
KHuda-hafiz hai ab baada-kashon ka
nashe mein chur hote ja rahe hain
pila de saqiya baada-kashon ko
nashe kafur hote ja rahe hain
qarib-e-dil wo kya ai 'naz' aae
nazar se dur hote ja rahe hain

Ghazal
Wo had se dur hote ja rahe hain
Sher Singh Naaz Dehlvi