wo gungunate raste KHwabon ke kya hue
virana kyun hain bastiyan bashinde kya hue
wo jagti jabinen kahan ja ke so gain
wo bolte badan jo simaTte the kya hue
jin se andheri raaton mein jal jate the diye
kitne hasin log the kya jaane kya hue
KHamosh kyun ho koi to bolo jawab do
basti mein chaar chand se chehre the kya hue
hum se wo rat-jagon ki ada kaun le gaya
kyun wo alaw bujh gae wo qisse kya hue
mumkin hai kaT gae hon wo mausam ki dhaar se
un par phudakte shoKH parinde the kya hue
kis ne miTa diye hain fasilon ke fasle
wabasta jo the hum se wo afsane kya hue
khambon pe la ke kis ne sitare Tika diye
dalan puchhte hain ki diwane kya hue
unchi imaraten to baDi shandar hain
lekin yahan to ren-basere the kya hue
Ghazal
Wo gungunate raste KHwabon ke kya hue
Sheen Kaaf Nizam