wo ek shaKHs mere pas jo raha bhi nahin
wo KHud ko dur kabhi mujh se kar saka bhi nahin
nigah jis ki meri samt aaj tak na uThi
mere siwa wo kisi shai ko dekhta bhi nahin
mere KHutut to jhalla ke phaD deta hai
ajib baat hai purzon ko phenkta bhi nahin
tamam waqt hai wo mahw-e-guftugu mujh se
ye kan jis ki sadaon se aashna bhi nahin
hamare sine mein chhup jae Dar ke duniya se
wo jis ke lams ne ab tak hamein chhua bhi nahin
jidhar bhi dekhun wahi wo dikhai deta hai
maze ki baat to ye hai ki wo KHuda bhi nahin
Ghazal
Wo ek shaKHs mere pas jo raha bhi nahin
Shamim Abbas