wo ek pal ka sath ba-waqt-e-namaz hai
mahmud aasman pe zamin par ayaz hai
jine mein kya kashish hai magar dekhte hain hum
kitni tumhaare zulm ki rassi daraaz hai
mana ki iltifat ke aadi nahin ho tum
lekin barae-mashq-e-sitam kya jawaz hai
us anjuman mein baat nahin ban saki magar
allah ko suna hai baDa karsaz hai
apni kaho hamari suno mashwara karo
ab kya gham-e-zamana mohabbat ka raaz hai
apni ghalat wafa ki talafi karunga main
wo aur honge jin ko wafaon pe naz hai
dilkash bana raha hai 'muzaffar' ka KHas rang
haalanki dastan baDi jaan-gudaz hai

Ghazal
Wo ek pal ka sath ba-waqt-e-namaz hai
Muzaffar Hanfi