اردو हिंदी
Wo ek lamha ki mushkil se kaTne wala tha | Shaahi Shayari
wo ek lamha ki mushkil se kaTne wala tha

Ghazal

Wo ek lamha ki mushkil se kaTne wala tha

Naseem Sahar

;

wo ek lamha ki mushkil se kaTne wala tha
main tang aa ke zamin mein simaTne wala tha

mera wajud muzahim tha chaaron jaanib se
isi liye to main raste se haTne wala tha

main taKHt-e-ishq pe faez tha jaanta tha kahan
ki ek din mera taKHta ulaTne wala tha

jo baat ki thi hawa mein bikharne wali thi
jo KHat likha tha wo purzon mein baTne wala tha

ye intiha thi ki ek roz main bhi danista
ghubar ban ke hawa se lipaTne wala tha

phir ek sada pe mujhe faisla badalna paDa
main yun to us ki gali se palaTne wala tha

'nasim' taza hawa ne diya tha mujh ko payam
ghubar dil pe jo chhaya tha chhaTne wala tha