wo ek lamha-e-rafta bhi kya bula laya
tawil qissa hai batlaun kya ki kya laya
jahan kahin bhi gaya sath tha ghubar-e-hayat
kahan se KHak-e-pareshan ye main uTha laya
mere nasib mein tha ishq-e-jawedan likkha
wagarna kyun main teri yaad ko bacha laya
kahin bhi kuchh bhi ba-tartib tha na wazeh tha
bas ek KHaka-e-mubham sa tha bana laya
Ghazal
Wo ek lamha-e-rafta bhi kya bula laya
Shahram Sarmadi

